Thursday, August 6, 2015

Tezaab Ki Aag:

Kuch sawaal hai mann mein,
Jinke jawaab nahi mil rahe, sochaa aap sab se puuchu,
Shayad koi mujhe iss bechaini se mukt kar de.

Chalo thik hai abb usne tezaab phek diya,
Aur jhulsaa daala mujhe uski aag mein,
Par mujhe mera kasoor toh bata diya hota.

Kuch bigaada hoga Maine uska,
Ya shayad nafrat thi usse mere chehre se, mere jeevit hone ke khayaal se.

Bigaad di meri zindagi, toot gaye mere sapne,
Azaad panchii bann kar udnaa chahti thi,
Uss haivaan ne mere parr hi  kaat diye.
Ghar ki chehakti hui  laadli aaj ek kamre k deewaro me kaed ho ke reh gayi hai.

Log darte hai mujhse, mere paas aane se katraate hai,
Arre par meri galti kya hai?
Mai bhi toh aap hi ki tarah ek aam si insaan hu,
Galat kehte hai ki chehra Mann ka aainaa hota hai,
Chehra bigdaa hai mera, par Mann toh mera bhi paak hai.
Napaak to wo hai,  jisko paraaye ke duukh dard se sukoon mila.

Kyu darte ho mujhse?
Uss insaan se daro jo aaj bhi samaaj Mein ghuum raha hai.
Mujhpar dayaa drishti kyu?
Uss patni pe dayaa karo jiska wo pati hai.
Ek phuul jaisi beti hai naa uski?
Duaa karti hu apne pitaa ke karmo ki sazaa usse naa mile.

Akhbaar waale aate hai, aur mere maa-baap ko aashwasan de kar chale jaate hai,
Surkhiyon Mein taaza khabar hu, meri tasweer bhi aati hai,
Kuch log toh uss din ke baare Mein bhi puuch baithte hai, rooh kaamp jaati hai uss din ko yaad kar.

Sunaa hai adaalat aaya tha wo?
Uski maa uski salaamati ki duaa kar rahi thi,
Aur jo duaaein meri maa ne mere liye kiye?
Shayad unme taakat naa thi mujhe har buuri cheez se bachane ki,
Yaa shayad wo duaa khuuda tak pahunchi hi nai.
Jo bhi hai, khuuda se abb unki ye aulaad rooth gayi hai,
Cheekh-cheekh kar, ro kar Maine usse ye sawaal kiye hai,
Wo toh kuch bolaa nahi,
Aap Mein se koi mujhe Bata do,
Aakhir meri galti kya thi?


-Apurba Mandal

posted from Bloggeroid

5 comments: